Rehtey hain saath saath mai aur meri tanhai Kartey hain raaz ki baat mai aur meri tanhai Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai Kartey hain basar raat main meri tanhai
Dard hi sahi mere ishk ka inaam to aaya khali hi sahi hathon me jaam to aaya.Main hu bewafa sabko bataya usne yu hi sahi uske labo pe mera naam to aaya
Lut jaati hai duniya humhari tanhaiyon ko dekhkar, jis tarah lut jaateen hai lehren kinara ko dekhkar. tumbhi sahara na dena mere janaaze ko, kaheen zinda na ho jaun tumhara sahara ko dekhkar..
Mujhko parkhne ka nateeja kya nikla Zakhm e dil nazron se bhi gehra nikla Tod ke dekh hi liya tune aaina mere dil ka Bataa teri soorat k siva kya nikla.....
Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !