hum jee rahen the unka naam lekar, wo gujarte the hamara salam lekar, kal wo keh gayen bhula do hume, humne pucha kaise? wo chale gayen haath main jaam dekar.
Wada to kar lete hai par nibhana bhul jate hai, laga kar aag sine main buzana bhul jate hai, bhulana jaisi adat ho gai hai _ap ki, aap hi rulate hai, our fir manana bhul jate hai.
Nikle jab aansu unki aankh se,Dil karta hai sari duniya jala dun,Phir sochta hun honge duniya mein uske bhi apne, kahin anjane mein mai use aur na rula dun.
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.