Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !
Bhool jate hai hame yaad karta hai kon,zakhm dete hai sab marham rakhta hai kon,hum har pal marte hai aapki judai me, humare aansuo ki kadar karta hai kon.
Ye wafa ka sila He to koi baat nahi, Ye dard apno ne diya He to koi baat nahi,Yahi bahut He ke wo dekh rahe He kinare Se, Ham duub rahe He to koi baat Nahi.