Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho Who Saath choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho
Chand ki raton mein sara jahan sota hai, Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai, Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare, Agar kare to kisi ko juda na kare..
Aagaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaani mein woh naam nahin hota jab zulf ki kaalikh mein ghul jaye koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota
uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla