Zindagi me Rah kaisi bhi ho Gujar jayenge, Ek din ham bhi chupke se mar jayenge, Aaj rehne do aap k dil me Yaad bankar, kal ansu ban k ankho se nikal jayenge…
Maang li maine duvaye,Tum b ab sajda karo.In lakiro ko milakar raasta naya paida karo.Motiyo aur hiro ko lejane walo,Uljhano aur aansuo ka b toh Sauda karo..
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Ishq walo se pucho unki raat ka aalam,ki unke dil ki halat kya hoti hai,samne se to vo kush dikte hai magar,unke dil ke har kone me kayamat chupi hoti hai.,