Mujhe aajmane ka natija kya nikla, dil ka jakhm najro se bhi ghara nikla, Tod kar dekh hi liya tune dil mera, Bata teri tasver ke siva is dil me kya nikla.
Teri yaado ne jab jab mujhko sataya he, sitam maine apne hi jism par dhaya h, hakikat ye thi"bani wo hi maut ka karan, jise samjha khuda ne mere liye banaya h.
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.
Hosh me aaye zamana hua, lekin bahosh khud ko paate hain, arsha beeta iss duniya mein, lekin khud ko tanha paate hain, dar lagta hai lambi umar se, itna duniya ne sataya hai, log mout se dara karte hain, hum zindagi se ghabraatein hain…