Mehfeel me hume wo pahchan na sake,hum unke kareeb par hume jaan na sake,bhul hi chuke thee hume to wo,aur hum thee ki unhe apne dil se nikal na sake...
kuch khwab khwab reh jaate hai kuch sapne adhure reh jaate hai chahat ka wada wafa ki kasmein kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai tujhse milna tujhe paane ki aarzoo kuch khwahishein hasratein reh jaati hai tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Dil ka dhadakna jaari hai tere jaane ke baad, Tu bhi khush hai apni duniya basane ke baad, Ye baat aur hai ke ab jeena wo jeena nahi, Hum aaj bhi Gham-deeda hain tujhe bhulane ke baad......