sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata, par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata, khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye… Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………
Bada armaan tha tere sang jeevan bitanne ka, Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka, Dewaangi isse badkar bhi kya hogi, Aaj bhi intajaar hai tere aane ka.
Tu nahi to zindagi me aur kya rah jae ga.dur tak tanhaiyo ka silsila rah jaega.ankh taza manzaro ki aas me kho jaega.aur dil purane mausamo ko dhundta rah jaega
Ek ajnabi se hamein itna pyaar kyon hai. Inkar karne par bhi izhar kyon hai.meri kismat mein unse milna to nahin hai lekin her mod per unka intezar kyon hai....