Todna tute hooye dil ka boora hota hai, Jiska koi nahi uska khuda hota, Log naahak hi kisi aadmi ko bura kahte hai, Bura aadmi nahi, bura waqt hota hai!
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
Kya Kya na socha Tha dil ne, kya kya na sapne sajaaye…. jal gaye saare sapne… reh gaye khaak ke saaye…. ab gila bhi kisse karoon main… kasoor To kisika bhi nahi… upar vaale ne hi kuch aise sitam ab mujh pe dhaaye, kuch na keh sake… nikli to bas dil se yehi aawaaz… haaye!