Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay , Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay , Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro, Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne..
Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!