Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Nikle jab aansu unki aankh se,Dil karta hai sari duniya jala dun,Phir sochta hun honge duniya mein uske bhi apne, kahin anjane mein mai use aur na rula dun.
Dil se roye magar hothon se muskura baithe, yun hi hum kisi se wafa nibha baithe, woh hame ek lamha na de paye, Jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.
kisi se pyar soch samajhkar nahi hota,har apna lagnewala humsafar nahi hota,tanhai katon ki tarah chubhti hai to kya hua,katon ko murjhane ka darr to nahi hota
Aapki yaad naa aaye to hum Bewfa Aap bulao aur naa aaye to hum Bewafa Humen marne ke liye Zeher ki jarurat nahi,Ekbaar nazar fer lo Naa mar jaye TO HM BEWAFA
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna, Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna, Kaante to phir bhi daman tham lete hain , Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the, yaad unhe din rat kiya karte the, ab un raho se guzra nahi jata, jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!