Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai,ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,taki door kar saken andhere ka gum,Tej andhi ne shama ka vajood usi andhere me dubo diya hai....
Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho Who Saath choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,Yahan to log ginate hai khubiya apni,Me apne aap me khamiya talash karta hoon..
Aansu ki bundo ko noor kr diya,tanha jeene ke lye majbur kar diya,ye kaisa khel khela takdir ne mere sath,jo dil ke karib tha mere usko hi mujhse door kar diya
Ishq sabhi ko jeena sikha detha hai, wafa ke naam par marna sikha deta hai,Ishq nahi kiya tho kar ke dekho,Zalim har dard ko sehna sikha deta hai.....--