Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.Ek roz bazi yu saje sheesha tera pathar mera.
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya.. umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat. do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya ! apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood, Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !
Hum ji rahen hai, sirf tumhara didar karke saans bhi le rahe hai tumhe yaad karke khuda ke paas to ek din hum bhi jayege per jayenge tera intZaar karke.
Mera din teri raat se acha hoga, Mera dil tere jazbaat se acha hoga, Jis din niklegi teri doli, Ghoonghat utha ke dekhna….. mera janaza bhi teri doli se acha hoga…..