Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
Agar tapakta Ashkon ki jagah Lahoo aankhon se... Koi kisi ko phir shayed hi rulaata... Dil ke tootne ki hoti jo Awaaz... Too tumhein mere dard ka andaza ho paata
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…