Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Chaahne se koi chiz apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehana toh chahte hai bahut kuch, magar kabhi waqt toh kabhi jubaan saath nahi hoti…
Bhool jate hai hame yaad karta hai kon,zakhm dete hai sab marham rakhta hai kon,hum har pal marte hai aapki judai me, humare aansuo ki kadar karta hai kon.
Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
waade bhi dost ne kya khoob nibhaye, zakhm muft mein aur dard tohfe mein bhijwaye, is se badhkar wafa ki misaal kya hogi, maut se pehle hi dost kafan le aaye.