Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..
Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye, Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye, Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi, Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye.
Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay , Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay , Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro, Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne..
Hume pyaar nahi tha Unhone karna sikha diya,hum bewafa nahi the Unhone bana diya,ab kya wafa kare hum unse,jab unhone kabr ki mitti me bhi zeher mila diya.