Vade karte hain, kasme khate hai, phir bhi na jane kyu log saath chod jate hai, hame to taklif hoti hai phul todne mein bhi, na jane log dil kaise tod jate hai.?
Ek ummeed ka diya jalaya tha aapke pyar ko paane ko, Par adhoora reh gaya mera sapna ek hone ko. Yaad karte hain hum aapki yaadon ko, Aur barsa dete hain in aansuon ko.
Rulane se pahale ek bar hasaya to hota, kasur kya hai is dil ka bataya to hota, mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne, kaash ye dil kabhi kahi lagaya na hota.