Muskurake hum apna dard chipate hain Hum wade-e-wafayee taumr nibhate hain Par humpe aaj na hai kisi apne ko aetbaar Aaj humein sab begaana batate hain
nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
kuch gam mere dil se sambhale nahin jate Ashu.n bhi unhe sath nahin le jaye Ek waqt tha pi jate the sau gam ke samunder Do ashk bhi ab mujhse sambhale nahin jate
Bada armaan tha tere sang jeevan bitanne ka, Shikwa he bas tere khamosh reh jaane ka, Dewaangi isse badkar bhi kya hogi, Aaj bhi intajaar hai tere aane ka.