PADE HAIN DOOR TAK DIL PAR KINHI KADMON KE NISHAN NISHAN GAHRE HUE JATE HAIN , MITAE NAHIN JATE, HAI ARZU DIL MEN KI TOOT JAE DHEERAJ JAHANE DIL MEN, AB ZAKHM SAMAYE NAHIN JATE.
Tamanna To Jahan Ki Karte Hain Hum, Par Har Dil Jisse Apna Maane Woh Hamara Nahi Hota, Dariya-E-Mohabbat Mein Tufan Bhi Hain Bhawar Bhi Hain, Par Har Kashti Ki Kismat Main Kinara Nahi Hota.
Itne Bekhabar Ho Chale Hai Vo Zamane Se,Ki Ab Shayad Unhe Kuch Yaad Hi Nahi,Maut Kabka Hame Apne Aagosh Me Le Chali,Aur Ek Vo Hai Ki Manne Ko Tayyar Hi Nahi
Parwah karo uski jo aapki parwah kare, jindgi mein jo kabhi ruswa na kare, jaan banke utar jayo uski jaan mein, jaan aap par jo apni jaan kurban ker de …
Na koi manzil hai na kinara hai koi,Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,kabhi Zindagi ko tarse kabhi maut ko pukara..
sochta tha dard-e-dil pe koi to marham lagata, par siwa kanto ke koi mujhko kuch bhi de na pata, khwab the aankho ke khulte hi kahi wo kho gaye… Ae kash band aankho ke hi jindgi jiya jata……………