Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
karib rehne ki chah to hamaen bhi thi,par na jane kyon faasle hi darmiyan aaye... marz ki dava to le lete hum bhi,par na jaane gyon jakhm nazar hi nahin aaye.
Waqt hai badla aur badli si kahani hai,Sang mere hasin palo ki yaade purani hai,Na lagao mere jakhmo par marham,Mere paas uski bas yahi ek aakhri nishani hai.
Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena, is duniya se nahi apne dil se pooch lena.. Apke aspas he kahi rehte hai hum, yadon se nahi to sath guzre lamho se pooch lena.