Aankhon ko tanha chodkar woh jaise hi gire gaalo par, toh kuch bewafa labo ke ho gaye galo ko chodkar. Chupaakar rakha jise duniya ki nigaahon se, hamare haste hi kambakht, chalak pade inn palkon ki kataaron se…
Hume bhi pyar karne ka khayal aya,Jab bhi yeh khayal aya khud ko akela paya, dhundte rahe is duniya me humsafar,Par kisi ko dhokebaaz to kisiko bewafa paya...
Kabhi jazbaat to kabhi yaadon ko dafan karte hai, kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai, kya khub taqdir di hai khuda ne, har roj mar mar ke jiya karte hai.
Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
Badla jo Waqt, Gehri Dosti Badal Gai Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai
Dard hi sahi mere ishk ka inaam to aaya khali hi sahi hathon me jaam to aaya.Main hu bewafa sabko bataya usne yu hi sahi uske labo pe mera naam to aaya