Teri yaad mai aasuo ka samandar bana liya, Tanhai ke saher mai apna ghar bana liya, Suna hai log pujte hai patther ko, Es liye dil apna patther bana liya.
Hame ashqon se palkon ko bhigona nahin aata,mile jo khushi to use khona nahin aata,seh lete hain har gam haske aur log kehte hain hamen rona nahin aata.
zindagi kabhi aanso, to kabhi muskaan hai meri dhadkano mai uska hi namo nishaan hai ret par likhe the jo do naam humne uska mit jaana hi hamari mohobat ka inaam hai
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.