Kaun andaza mere gum ka laga sakta hai, Bin chale kaun sahi raah bata sakta hai, Kinare walo tum mere dard ko kya jano, Dubne wala hi gahrai bata sakta hai!
Mohabat k safar me koi rasta nahi deta,Zameen Wakif nahi banti falak saya nahi deta,Uthana khud hi padta he thaka tuta badan,K jab tak saans chalti he koi kandha nahi deta.
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kyon Hain Aaj Ankhain To Ankh Mal Ke Kheta Hon Ke Raat So Na Sake Hazar Chahon Mgar Yh Na Keh Sakon Ga Kabhi Bhi Ke Raat Rone Ki Khawish Thi Mgar Ro Na Sake
Roone de aaj tu hum ko tu aankh sujaane de, Baahon me le-le aur khud ko bhig jaane de, Hai jo seene me kaid dariya wo chut jaayege, Hai itna dard ke tera daman bhig jaayega.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya