jindagi kya hai, shayad ak sach shayad ak jhoot, par jindagi main vahi safal hota hai, jo ise ak khel mankar chalta hai,kyonki khel main harkar bhi kuch seekhne ko milta hai
Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb hai
Kabhi zindagi ke pannon ko ulat kar dekhiyega, Aapko ek shaksh yaad aayega, Bhool jaaoge zamane ke diye saare gham, Jab hamare saath guzara waqt yaad aayega.