Ab unki chahat mein yeh naubat aa gayi, Thandi hawa bhi hume jala gayi, Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye, Mein tumhare sanam ko chuu kar bhi aa gayi
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
Jab chaha jazbat se khele,jab chaha dil tod diya,tamam umar sath kya dete,jab beech raah me sath chod diya.unhe raas na ayi wafae meri pyar ki,shayad isliye mera daaman chod gairo se rishta jod diya.
khwaab dekhte huve ab ye dil thak chukaa haimera har khwaab pathar sa ho chuka hai sheesha hota to tootne ka gum na hotaye to pathar hokar bhi toot chuka hai
Badi asaani se dil lagaaye jaate hain, Par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,Le jaati hai mohabbat un raho par jaha diye nahi dil jalaaye jaate hain.
Tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena, is duniya se nahi apne dil se pooch lena.. apke aspas he kahi rehte hai hum, yadon se nahi to sath guzre lamho se pooch lena.
Aae dil tu mohabbat karta kyu hai,Jo karta hai to phir tadapta kyu hai,Jo baith gaya hai dil me pyaar ka dard ban kar,Woh aankho ke raaste nikalta kyu hai.