Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.
Aap ki Muskaan Hamaari Kamjori hai, Aapse keh na pana Hamaari Majburi hai, Aap q nahi samajhte is Khaamoshi ko? Kya Khamoshi ko Zubaan dena zaruri hai?
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu mein tere liye khuda se taqrar nahi karta, par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!