Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin. lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main kafi dinon se mujh se shikayet usse
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Choti-choti baton se takrar na kiya karo,Hamare har mazak ko dil pe na liya karo,Kya pata sath hai aur kitne din ka,Tab tak to pyar mere yar rakha karo
Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the
Socha tujhko phool kahu maiLaikin phool bikher jata hai,Socha tujhko khowab kahun maiLekin khowab to mar jata hai,Socha tujhko shaam kahun maiLekin shaam to dhal jati hai,Or tu dhalti shaam nahi hai,Tera koyi naam nahi hai.