Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho
Apse dur bhala ham kaise rah pate, dil se aapko kaise bhula pate, kash ki aap dil ke alava Ankho me bhi base hote, khud ko dekhte to aap hi nazar ate...
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi, Is umar key sehra say teri yaad ka baadal, Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Roshni hote hue bhi dil mein andhera hai, In andhero main kisi ka bseraa hai, Aana kabi roshan krna hamari mehfil ko, Dekhna dil ki har diwaar pe naam tera hai