Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade