Ye mohabbat bhi kitna tadpati hai, Kabhi dil ko sehlati hai, Kabhi dil ko jalati hai, Kabhi har shey par jeet dilati hai, Kabhi jeet me bebas banati hai, Kabhi toofan me kashti ko paar lagati hai, Kabhi saahil par aakar dil ki kashti ko dubati hai, Kabhi zamane se ladna sikhati hai, Kabhi ek shakhsh se dil ko harati hai.
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse, yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse, bas is baat ki badi umeed hai aapse, khafa na hona agar hum khafa rehein aapse
Saath rehate rehate yuhi waqt gujar jayega.. Dur hone ke bad kaun kise yaad aayega.. Jeelo ye pal jab hum saath hai, kal ka kya pata waqt kahan le jayega...
"Mai tod leta agar wo ''GULAB'' hoti! Mai jawab banta agar wo ''SAWAL'' hoti! Sab jante hai mai nasha nahi karta, phir bhi pee leta agar wo ''SHARAB'' hoti."
Patthar bana diya mujhe rone nahi diya.. Daman bhi uske gum na bhigone nahi diya.. Kuch yun tha ehsas uska sang mere ki... Ek pal ko bhi mujhe usse juda hone nahi diya…