Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khayal kuch aisa hai,ke ret ka har zarra agar nayab hira ban jaye,to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai.
Bahut taras kar nigahein jab nam ho gayi,Jugnu nachte rahe chamak kam hogayi,Kisi ko dekh lene ki tamana ne kiya pagal,Utar kar galon par shabnam sanam ho gayi
Chup rehne se baat nahi banti.. Dil ki baat dil main dabane se baat nahi banti.. Maana ke pyar ka Izhar karna Mushkil hai Mughal.. Magar dil ke armaan chupane se baat nahi banti.......