Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaaye ki, hum aapko yaad kare aur aapko khabar ho jaaye, Aaaj rab se yahi dua hai meri, Aap jo chahe wo aapko mil jaaye
Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.
Ji ko sawara humne tamannao ke khun se,Gulshan mein uss bahar ke haqdar hum nahi,Dhoka diya hai khud ko mahobbat ke naam seMKese kahe ki gunehgar hum nahi.
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.