Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
Mill jaye koi Naya to Hamein na Bhula dena Koi Rulaye Tumhein to Hamein Yaad kar lena Dost Rahange umar bhar Tumhare Tumhari Khushi na sahi Gham hi Baant lena
Youn Badi Der Se Paimaana Liye Betha Hu, Koi Dekhe To Ye Samjhe K Piye Betha Hu.... Zindagi Bhar K Liye Ruth K Jaane Wale, Mein Abhi Tak Teri Tasveer Liye Bhetha Hu....
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Na kabhi ye chupaya ki Pyaar kitna hai,Na kabhi ye Jataya ki dard kitna hai, Bus ek hume aur uss Khuda ko hai maloom,; tujse mulakat ka intezar kitna hai.