Khushi se mare to aap ko paa kar marenge, Gum se mare to aap ko kho kar marenge, Gum naa hoga iss duniya se jaane ka, Jaise bhi mare aap ke ho kar marenge.
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
ham apne aap mein yun gumm hue hein muddat se, hame to jaisay kisi ka bhi intezaar nahi… kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain, hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahi…
Tu Mila Hai To Yeh Ahesaas Hai Mujhko.. Ye Meri Umra Muhabbat Ke Liye Thodi Hai... Ek Zara Sa, Zindagi Ka Bhi Haq Hai Jis Par, Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai..."