Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Kyun kisi se itna pyar ho jata hai, ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai. lagne lagte hain apne bhi paraye, aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata he.
Aaj Kah Dunga Shab-E-Gum Ki Shararat Unse Roz Aa Jati Hai Kambaqt Satane Ke Liye Humko Maloom Tha Aap Ayenge Mere Ghar Lekin Khud Chala Aya Hoon Yaad Dilaneke Liye
Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye
Mare duaoon main assar nahi.. Yeh raaz aaj muj per khull gia.. Jissay chaha main nay har dua kay baad..Woh shaks bin mangay kisse or ko mill gia.......