Dil cheer k dekh lo mera, Tasveer usi ki hogi,Kabhi hille agar is Dil k darwaje, Toh aahat usi ki hogi. Pyar ka jazba bhi kya khwaab dikha deta hai Ajnabi chehre ko mehboob bana deta hai
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai Aise hi mohabbat ki shuruwat hoti hai Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum Pata nahi kab din kab raat hoti hai
Musafer bechrety hain rafaqat kab badletei hai... Mohabet zinda rehetii hai mohabet kab badltii hai... Tum e ko chaahety hai ham tum he se pyaar kerty hain... Ye he aadet hai baresoo see ye aadet kab badlti hai............
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Har baar apki salamati ki dua karenge,teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,tum chahe daman bachalo humse lekin,Hum marte dum tak aapse wafa karenge.
Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai....!