Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Dil se tera khayal na jaye to kya karu? tu hi bata teri yaad aaye to kya karu? hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu kismat woh lamha na laye to kya karu?
Betaab tamanao ki kasak rehti hai,manzil ko paane ki tadap rehti hai,hum zaroor nazron se dur ho,par hamari band aankhon me dost aapki jhalak rehti hai..