Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai, teri har baat mujhe bahka jati hai, Saansen to bahut der leti hai aane jane me, Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Aaj Mein Nein Khud Se Ye Wada Kiya Hai,Maafi Mangoon Gha Uss Sey Jisko Ruswa Kiya Hai,Har Mord Par Hee Hon Gha Mein Uss K Sath Sath,Maloom Hai K Mein Nein Usko Kitna Juda Kiya Hai
Tera intzaar karke har raat ko tanha so jata hun.Subah hote hi phir tere milne ki aas me aankhe bhichata hun.Ye silsila ab tum khatam kar do,ek din milne ka mukarar kardo..
Khuda jaane pyar ka dastur kya hota hai, jinhe Apna banaya wo dur hota hai, kehte hain ke milte nahi Zamin Aasman, fir kyun Aasman Zamin par Fida hota hai.?.