chaha tha us ko rooh ki gahraiyon k sath.. zinda hain apni zaat ki tanhaiyon k sath.. roka nahi us ko bicharny k waqt b.. apni wafa py naaz tha sachaiyon k sath
Unko khabar hai mere tute armano ki,aaj jarurat padegi kanch ke pemano ki.khali na hone dena jaam yaro, varna fir se yaad aa jayegi gujre huve jamane ki.
fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho.
Ab to zamane ke rasmo rivaaj bhi badal gaye hum jinhen chahte the un ke mizaaj bi badal gaye jate jate wo hm se kehny lage badal jao tum bhi dekho hum bhi badal gaye