Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Meri har ek dhakan aap ke liye hai, Meri har ek muskuraht aap ke liye hai, Aap ki ada mere dilko churane ke liye hi hai, Ab toh meri yeah zindagi aap ke intezaar ke liye hai!!!
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
Tu hain mujme shamil mere khun ki tarah tera tasawware jikr bhi karu kis tarah chahe door sahi lekin tu hain is duniya main teri ummid rehte huae main maru kis tarah