Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Saamne na ho to tarasti hain aankhein,Yaad me teri barasti hain aankhein,Mere liye nahi inke liye hi aa jaao,Aap ka bepanaah intezaar karti hain ye aankhein.
Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.