Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Dil jo tutega to fariyaad karoge tum. Hum na rahe to hume yaad karoge tum. Aaj to kehte ho hamare pass waqt nahi, par ek din mere liya waqt barbad karoge tum…
Loog kahty hain woh muj sy juda rahti hai.. Ban k dharkan jo mary dil main sada rahti hai.. Yun mari zaat main shamil hai us ki hasti.. Jis tarah saray zamany main KHUDA rahta hai.....
Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaaye ki, hum aapko yaad kare aur aapko khabar ho jaaye, Aaaj rab se yahi dua hai meri, Aap jo chahe wo aapko mil jaaye