dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete
Intaha karna kabhi acha nahi hota.. Jisey chaho woh kabhi bewafa nahi hota.. Yeh tu kismat ki baat hai mil jaye woh kisi or ko..Zabardasti sey kisi ko pana acha nahi hota.......
Kisi dard ko sambhal pana asan nahi Haste hue har pal ko bitana asan nahi.Zindagi me har koi dil me nahi bas pata.Or us 1 base hue ko bhul pana asan nahi.
Jo dil me hai aankho k hawale nahi karna, Khud ko kabhi khwabo k hawale nahi karna. Is umar me khush fehmiya achi nahi hoti, Is umar ko wado k hawale nahi karna
Ada unki aur deewane hum bane...wafa wo na kar sake aur bewafa hum bane...yu to hazaro the bheed me...shukriya unka, jo unki nazron k nishane hum bane.
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.