Khuda se thoda reham khareed lete, aapke zakhmon ka marham khareed lete, agar kahin bikti khusiyan meri, to saari bech kar aapka har gum khareed lete Phool
Tadap uthoge jab hum yaad aayenge,Dhoondoge hume jab hum durr chale jaayenge.Hamari yaadon ke nishan dil me paaoge,Jab tumhari dhadkano me chhup kar hum muskurayenge
Khud ko is Dil mai Basane ki Ijazat De Do Mujh ko Tum apna Bananay ki Ijazat De Do Tum Meri Zindagi ka Ek Haseen Lamha ho Phoolon se Khud ko Sajanay ki Ijazat De Do
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai, Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai, Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe, Sirf ek baar tujhe Dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai....