Lehro se milkar na wo beh sake na hum! Ek duje k dil me na wo reh sake na hum! Jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honton se na wo keh sake na hum!
Bahon main lelo muj ko k tanha hon main... Dharkan main basalo muj ko k Tanha hon main... Tum nahi to jahan main kuch b nahi... Muj main samaa jao k tanha hoon main........
Samjha na koi dil ki baat ko.. Dard duniya ne bin soche hi de diya.. Seh gaye jo hum agar dard ko chupke se.. To phir humko patthar dil keh diya.......
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai, bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai, yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin, mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
Zindagi se wafa hamne bhi ki hain bahot par Gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi, Ek tujhko pakar bahut khush tha main , Par sath tera manzil tak mila bhi to nahi…