hum nay kab us say mulakat ka wada chaha, dur rah kar usay aur bhi ziyada chaha, yaad aya mujhay wo bari shidat se, bhool janay ka usay jub bhi erada chaha
Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai, teri har baat mujhe bahka jati hai, Saansen to bahut der leti hai aane jane me, Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.
Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye Kahin is shama ko hum parvana na banade
Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.