Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete
Kabhi kabhi baatein adhoori reh jaati hain choo kar honthon ko juban khamosh reh jaati hai reh jaati hai keval aankho mei nami aur yaadein dilon ko tadpaati hain
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi, Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi, Is umar key sehra say teri yaad ka baadal, Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,