Zindagi ek baar milti hai usko na yun barbaad karo, khushi ho ya gam ka aalam us khuda par aitbaar karo, mohabbat hi to hame jeena sikhati hai is zamane mei isiliye doston kisi na kisi se tum bhi pyaar karo…
Door rehkar kareb rehne ki aadat hai, yad bankar ankhon se behne ki aadat hai, kareb na hote hue bi kareb paoge, mujhe ehsas bankar rehne ki aadat hai..
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Mahaj gulab mohabbat ka pegam nahi hota.yuhi kisi par aitbar nahi hota.pyaar to hota he man ki nirmal bhavna se.varna yuhi Radha-krishna ka naam nahi hota.
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya, jakhm dil ka logo se chupaya na gaya, judai k baad bi itna pyar karta hai dil use, k judai ka ilzam bi us pr lagaya na gya.