Kabhi Hum pe WO jaan diya karte the,Jo Hum kehte the wo maan liya karte the,Aaj pass se anjaan ban kar guzar gaye,Jo durse HUME pehchan liya karte the..
Ab kya kahe ki unse mohabat na rahi,Ya ye ki unko humari jarurat na rahi,Unko bhi wada karke bhulane ka shauk hai,Aur humko bhi ab intejar ki aadat na rahi.
Chalta Tha Kabi Haath Mera Thaam Kar Jis Par Karta Ha Bohot Yaad Wo Raasta Usay Kehna Umeed Wo Rakhay Na Kisi Or Se ...Har Shakhs Mohabat Nahi Karta Usay Kehna.
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna