Aakhon se ashk cheen liya krte hai hum, Sabki neende chura liya krte hai hum Ab se jab apki palk jhuke samaj lena, Tab tab apko yaad kiya krte hai hum.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Ajab Baat Hai Wo Mujh Se Khafa Bi Raha Wo Doston Se Mera Haal Poochta Bi Raha Ajeeb Rang Mein Ki Us Ne Guftagu Mujh Se Labon Pe Chup Thi Nigahon Se Bolta Bi Raha